Sun lo Ali Akbar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli JawaN laal ka sar goad meiN le kar
Tum mar gaye, MaiN lut gayi, taaraj hua ghar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Tum Doohla bano, aaye Dulhan, dekh looN sehra, Armaan thay kya kya
Main kisse kahooN aaye ho tum khoon meiN naha kar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Is din ke liye paala tha armaanoN se maine, Tum chhup hue ais e
Main tumko pukaru na suno wahe muqqadar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Dada ka tumhare to bada naam hai beta, Afzal hai yeh kunba
Haidar ke bahu ho ke, main phirti hooN khule sar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
ZanjeeroN se jakde hue, lohay ki girani, Kha na hai na paani
EzaaeN diye karteN haiN rah rah ke sitamgar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Pairon me mere padte hain gaam pa chhale, Chalne me hain laale
Itna na to ab mujse phira jaaye ga dar dar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Dar dar ki bhala thokereN khaati hi rahooN gi, Roti hi rahooN gi
Dada se ke karo arz yeh ai Hamshakl e Payambar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Aagosh mein us HasliyoN wale ki kami hai, Eik hook utthi hai
Gahware se Asghar ke mahek aati hai ab tak, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Tadpati hai jab goad ki woh garmi ai Asghar, Dil hota hai muztar
Chakra ke main gir padtiN hooN is gham se zameen par, Sun lo Ali Akbar
Ma boli …
Nasir* yehi pardes mein eik Maa ke thay naale, Ai Ghar ke ujaale
Ab koi madadagaar nahin hai mere Dilbar, Sun lo Ali Akbar
Ma boli JawaN laal ka sar goad meiN le kar