Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Islam par mita di, Bharpoor Naujawani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Darya tha saamne, aur lahra raha tha paamni
Yeh apne khoon e dil ki, dekha kiye rawani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Kya qadr ho rahi thi, Tasweer e Mustafa ki
TeetoN ki thi nawazish, teghoN ki meherbaani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Islam mehmaan tha, aur mehzbaan musalmaan
Lekin badal gaya tha, aaina e mehzbaani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Phooka atash ne seena, barchi ne dil ko toda
Rahmat ne sar par rakha, Deehi mein kaamrani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki z indigani
Taqat who naz’aa ki woh, raanaiyoN ka aalam
Kya rooh bhar rahi thi, naize ki jaafishani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Sabir ke laal thay, par, yaad aa gayi ho shayad
Khimey se waqt e rukhsat, Maadar ki be zubaani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
AttharweN baras hi yusuf kafan mein aaya
Sanwaan e Mustafa ki, purdard hai kahani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Lakhon salaam tujh par, ai rooh e tashnakaami
Paani ki kya haqeekat, zer e qadam tha paani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani
Main Najm* eik zarra hooN teri rahguzar ka
Saair hoon tere dar ka ai arsh e aashiani
Tha maut ka taqaza, Akbar ki zindigani