Kehti thi madar ay Ali Akbar ran se do awaaz mujhe

Noha

Kehti thi madar ay Ali Akbar ran se do awaaz mujhe
Maa tumhe le aaye jaakar ran se do awaaz mujhe
Kehti thi madar….

Ay mere abroo kama soye ho kahan
Moo se to bole zara dhoondti hai tumko maa
Maine ye socha kab ay mere tisdhna -dahan
Daaghe pisar paaungi tha ye mujhe kab gumaan
Socha aisa kab dilbar rehgaye saare khaab bikhar kar
Ran se do awaaz mujhe
Kehti thi madar….

Mujhko yehi lagta hai jaise abhi aaoge
Aate hi khadmo ke tum maa ke lipat jaaoge
Meri pareshani par kuch to taras khaoge
Harfe tasalli se tum dil mera behlaoge
Doge dilaasa Ali Akbar aisa magar hone laga kyon kar
Ran se do awaaz mujhe
Kehti thi madar….

Jinpe mujhe naaz tha sabko khaza aagayi
Gulshane umeed ki har kali murjhagayi
Ghar ke charago ko ye kiski nazar kha gayi
Teeragi -e-shame gham har taraf cha gayi
Dhaate hai aada sitam humpar jalte hai qaime chinti hai chadar
Ran se do awaaz mujhe
Kehti thi madar….

Shame ghareeban gayi raat hui jab ayaan
Sayyade Sajjad thay ghash may pade neem jaan
Aise may Zainab bani ghamzadon ki paasban
Honton pe Mohsin* magar Laila ke thi ye fughaan
Royegi tumko sada maadar ay mere pyase ay mere dilbar
Ran se do awaaz mujhe
Kehti thi madar….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *