Masnad e gham bichayi jaati hai

Noha

Masnad e gham bichayi jaati hai
bazme matam sajayi jaati hai

ran ko Akbar chale to maa ne kaha
umr bhar ki kamayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

khoon may doobe hai yun Ali Akbar
jaise chadar udhayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

kisko gharey hue hai ahle haram
kiski mannat badhayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

ek rida dedo Shah ko kubra
laashe Qasim uthayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

teer gardan pe khalo ay Asghar
pyas yun bhi bujhayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

yaad aati hai ek nanhi lehad
jab bhi shamma jalayi jaati hai
Masnad e gham….

boli Zainab utho utho Abid
aag ghar may lagayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

zikre maula ka faiz hai Mehshar*
teri shohrat jo paayi jaati hai
Masnad e gham bichayi jaati hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *