Kahti thi yeh maan khoon bhari mayyat se lipat kar

Noha

Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Armaan tha pahnaoon gi posha ak shahani
Afsoos ke raas aayi na sab ko yeh jawaani
Kaisa tha muqqadar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Itna to zara tahro tumhe dhoola bana loon
Bas ek jhalak sehre ki Sughra ko dikha doon
Bechain thi Khawar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Attharan baras paal ke parwan chadaya
Yuh gesoo-e-wala hai mera khoon mein nahaya
Yeh kya hua Dilbar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Maa teri judayi me bhala kaise jiye gi
Mar jayi gi Sughra, jo khabar teri sune gi
Ab kya karoon Dilbar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Thahro ke main attharvi mannat to badha loon
Phir le ke balayen, tujhe jeene ki dua doon
Sadqay ho yeh Maadar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Pahle to ek awaaz par uth jaate the beta
Ab itne sadoon pe bhi pahloo nahi badla
Kya ho gaya Dilbar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Tum hichkiya ley-ley ke jo dam tod rahe ho
Muh maa se hamesha ke liye mod rahe ho
Kyon roothe ho Dilbar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Aaye jo hame lootne khaimey mein sitamgar
Maa de gaye sadayee, Ali Akbar, Ali Akbar
Chhin jaaye gi chadar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Jab koi jawan laash nazar aati hai Mahshar*
Ek yaad soo-e-Karbobala jaati hai Mahshar*
Dil rota hai kah kar, hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar
Kahti thi yeh Maa khoon bhari mayyat se lipat kar
Tum mar gaye or zinda rahi Madare muztar
Hai hai Ali Akbar, hai hai Ali Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *