Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Noha

Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik
Silsila Noor e Imaamat ka chala eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Ek mein bhi na mile, Bu e Wafa e Abbas
Phool to Gulshan e Aalam mein khila eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Ek sar de ke gira, doosra sar le ke badha
Tez yuh raah e shaadat mein chala eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Panjatan paak ne dekha jo iraada Hur ka
Bakshwane lage sab Hur ki khat eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Paye Haider par zara aa ke Haram mein dekho
Sar jhukayen hain zamane ke khuda eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Yuh kiya ibne Mazahir ne zaeefi mein jihaad
Rann mein dikhla di jawani ki ada eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Lakh haye huey shamsheer o sina o khanjar
Kissa e Karbobala kahta raha eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Zaahiron se kaho aahista qadam rakh ke chalo
Soone wale hain tahe Khaak e Shifa eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Fatima royen, Ali roye, Mohammad roye
Gham e Shabbir mein barsi hai ghata eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Koi aaya na Nusairi ke khuda teri tarah
Aaye Kaabe mein zamane ke khuda eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Zakir o Shayar o Salik hain hami mein Mahir*
Apne kunbe mein bhi maddahah huwa eik se eik
Raahbar Eik Se Eik, Raahnuma Eik Se Eik

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *