Mahir*, Hawa e Teer Sitam Dhah ke reh gaye

Noha

Haye mera mazloom Imaam,
Haye mara gaya hai tashankaam

Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye
Besheer ke labon par hasee aa ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Asghar gaye to aaye na phir ghar mein laut ke
Maa apne dil ko jhooley se bahlaa ke ra h gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Bano ne khali paye jo aagosh e Shah-e-Deen
Kahte hi kya zabaan se, ghabra ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Kyonkar koi bayaan kare marg-e-sagheer ko
Nauras kali thi, dhoop mein kumbla ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Seraab ho ke dasht se Besheer aaye ga
Maa dil isse khayaal se bahala ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Uthne diya na maut ne kushton ko khwaab se
Aghaaz e Shah-e-Shaan mein aa aa ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Sun kar Sakina asr ko awaaz e Zul Jana
Khaimey ke dar par aaye to ghabra ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Mahir, payam-e-hashr tha hamla Hussain ka
Sari zameen dasht ki chakra ke reh gaye
Mahir, Hawa e teer sitam dhah ke reh gaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *