Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Noha

Dariya se palat aao Chacha, Pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Murhjaye hue hoot hain, Kaaten hain zabaaN mein
Hai halq mera sookha hua, pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Jo rann ko gaya jaise mujhe bhool gaya hai
Eik eik ko main detiN hooN sada, Pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Ai mere Chacha, mere Chacha, Mere Chacha -jaan
Israar Sakeena ka raha, Pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Aaya nakoi phir bhi mere pyaas bujhane
Sunne ko to har eik ne suna, Pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Main baithe hui huN darwaze par kab aao ge Ammu
Yuh do na yateemi ki saza, pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Fariyaad pa meri koi deta nahi aawaaz
Kab tak main karoon aah o buka, pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Main tum se khaf thi na kha hoon na rahoon gi
Bas itni tammanna hai Chacha, Pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Aasaar aseeri ke naza r aane lage hain
Bandh jaye na rassi se gala, pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Ishrat* yeh pase Shah thiN Sakina ki sadayeeN
Pani mein hai dam atka hua, pyaas bujha do
Nauha yeh Sakeena ka raha Pyaas bujha do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *