Ghar Lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho

Noha

Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho

Kaise batayen Qasim e Naushaa ki dastaan
Bikhre pade haiN phool zameen par yahan wahan
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

AttharaN saal paala tha jisko khushi khushi
Qurban woh bhi kar gaya Sarwar pa zindagi
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Jo ghutniyoN bhi chalne ka qabil abhi na tha
Woh bhi qaza ke haatoN se bejaan ho gaya
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Bhai pa mere laal bhi qurbaan ho gaye
Qabza kiya furat par be-aab so gaye
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Karbobala meiN aak ke uthayen woh saktiyan
ChheniN gaye Sakeena ke kaanoN se baaliyan
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Zaherra yeh soochtiN rahin Zainab ke bain par
Kya kay sitam hue hain hamare Hussain par
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Yeh bain kis zabaan se, Ishrat* karoon raqam
Yeh likhte likhte, ashq bahane laga qalam
Zainab ka yeh bayaan tha, Amma ab aaye ho
Ghar lut gaya Rasool ka, Amma ab aaye ho
Bhai shaheed ho gaya, Amma ab aaye ho

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *