Jab gulu e khush par khanjar chalaya jaye ga

Noha

Jab Gulu e khush par khanjar chalaya jaye ga
Kis tarhaN se Zainab se yeh, sadma uthaya jaaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Cheeni jaayen gi ridayeN, Zainab o Kulsoom ki
Dar ba dar unko rasan, basta phiraya jaya ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Qatl e Akbar ki sadayeen, aa rahin hain dasht se
Kis tarhan Shabbir se, laasha uthaya jaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Saaqi e Kausar ka waaris hai Alamdar e Hussain
Ab Sakeena ka use, saqqa banaya jaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Eik bi aisa na tha jo zalimon se poochta
Aur mazloom pa kab tak, zulm dhayaa jaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Jinke parde ke mahafiz Akbar o Abbas thay
Aah unko bar sare darbaar laaya jaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Rann mein Qasim ke sarhane chhup khade hain Shah e Deen
Kis tarhaN paamaal laashe ko uthaya jaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Poochte hain zulm ke masoom rukhsaaron ke neel
Kab tak aakhir in yateemon ko rulaya jaaye ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Waqt kaisa aa gaya Aale Nabi par baad e Shah
Reit par masoom BachchoN ko sulaya jaya ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Dekhna ho ga wahan bhi Shah ka maatam ai Faraaz*
Hashr ke din jab Dilawar* ko bulaya ga
Sayyada ya Sayyada, ya Sayyada, ya Sayyada

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *