Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Koi ballaye mujhko Khudaara
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Ghar se aagosh e Sarwar mein pya asa
Paani peene ki khatir gaya tha
Aab e teer e jafa pee ke palta
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Soochti hoon meri iss kali ki
Chhey mahiney ki kya zindagi thi
Ghutniyon bhi na woh chal saka tha
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Jab se bhichidi hoon laqt e jigar se
Gir gaye haye duniya nazar se
Hai nigahon mein bus usska chhera
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Saamne jab na pata tha mujhko
Khaas ada se bulata tha mujhko
Mera masoom sa shahzaada
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Yaad hai yeh ada mujhko uski
Looriyan sun ke soota tha meri
Qabr mein looriyan kaun de ga
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Mujhko nazdeek apne na paa kar
Ghauk jaata tha khwabon mein aksar
Qabr mein tanha kaise rahe ga
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha
Ab bhi Aslam* kisi ghamzada ka
Goonjta hai fiza mein yeh nauha
Dhoondo nannhi si turbat ko kis ja
Meri Asghar ki Turbat kahan Hai
Hai Rabaab e Hazeen ka yeh nauha