Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

Noha

Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein
Eik saf e matam bichi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Shah ke seene par qaraar aata tha jis ghamkhwaar ko
Khaak par sooye hui hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Aabid e beemar ke haatoN se yeh mat poocheyea
Kis tarah turbat bani hai, Sha am ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Sayyad e Sajjad ki aakhoN se aasoo hain rawaN
Bekasi hi bekasi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Ya Ali ahle Haram ki aayea imddaad ko
Kis qadar bechaargi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Shab ke sannatte mein aksar soochti rahti hai maaN
Eik bacchi ro rahi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Raat ki taareekiyon meiN, Dukhtar e Shabbir ne
Gham ki chadar oodh li hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Jis liye qabr e Sakina par udaasi chhaye hai
Teeragi hi teeragi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Baad e Shah mat poochiyea kaisi qayamat aa gayi
Girya o seenazani hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Wa Hussaina ki sadayeN goonjtin hain raat o din
Har taraf veerangi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Raat bhar shabnam ka girya, din mein sooraj ki tapishn
Chaar soo afsurdagi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Apni ashqon se dar o dewar par Sajjad ne
Dastaane gham likhi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

——————————————————————————————

Hai Aseem* Aale Nabi par eik qayamat aa gayi
Bhook hai aur tashnagi hai, Shaam ke Zindaan mein
Shah ki dukhtar so rahi hai, Shaam ke Zindaan mein

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *