Noha

Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai
Kunbe ke saath Qaid mein jaane ko reh gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Godi meiN paal paal ke jinko bada kiya
Sehra meiN unki QabreN banane ko rah gaye
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Bano ke ashq pochon ke kubra ka saath do
Eik eik ka main ranj batane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Sab mere chand haslion wale guzar gaye
Main qaid ho ke shaam meiN jaane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Jangal mein kat gayi meri kheti hari bhari
Main bad naseeb khaak udane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Bhai ko doon kahan se kafan, berida hoon main
Mayyat pe khali ashkh bahane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Akbar toh khuld mein gaye doolah bane hue
Ab yahan main kiska biyah rachane ko rah gaye
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Hamraah Shah ke jati magar usko kya karoon
Thin jaan gham se hoton pe aane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Bazoo bandhe naqaab chini dar-ba-dar phiri
Kunbe ka naam apne mitane ko rah gayi
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Manzil pe saare qafile wale pohuch gaye
Iss umr mein main thokeray khane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Aisi bhi shaadiyaN hui hongi jahan mein kam
Qasin banne ki yaad zamane ko rah gai
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Kya jake ab kahoongi jo pooche gi Baap ko
Sughra ko main yeh shalk dikhane ko rah gi
Zainab ka tha bayan, gham uthane ko reh gai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *