Noha

Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Dil pe utha kar daagh bahattar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Din yeh muqaddar ne dikhlaya, qatl hua mera Majaya
Kaise bhulao katl ka manzar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon wat an ab

Itni bhayanak raat hai aayi, mai huN aur meri tanhayi,
Saath nahin mera Baradar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Bhai Bahteeje Bhanje Bete, aayi thi jab sab saath thay mere
Khoo diya sabko aake yahan par, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Aun o Muhammad haq fidayi, de gaye tum bhi daagh e judayi
Rehem kisi ko aaya na mujh par, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Ho gaye kya kya zulm Behen par, ki na madad Abbas e Dilawar,
Soo gaye tum bbhi shaane kata kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Bhai Chacha aur Baap ke ghum mein, nanhi Sakeena qaide sitam mein
Marr gayi zulm o jaurr uthakr, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Gham ka asar badta jata hai, arsh e Munawwar* kaanp raha hai
Kehti hai Zainab qaid se chut kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab
Zainab e bekas kehti thiN ro kar, haaye maiN kaise jaoon watan ab

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *