Noha

Yeh shabe aakhir har ek ka qalb tadpaane ko hai
Rone waaalo Karbala ka qaafila jaane ko hain

Mehmaan Sibte Payambar the’n to yeh zeenat bhi thi
Taaziye khano pa barbaadi bas ab aane ko hai,

Qaafila loota hua pahucha hai maqtal ke qareeb
Bhai ki mayyat behen seene se liptaane ko hai,

Chootne waala tha kisi Bibi ki godi ka pala
Jaayega jisme musafir wo ghadi aane ko hai,

Jalti reeteen par banega ek musafir ka mazaar
Bhai ki mayyat behen maqtal se uthvane ko hai,

Dil jali maa aa gayi hai apne Dulha ke qareeb
Jo bhari hai khaak mai woh zulf suljhane ko hai,

Khod chuki hai aah ek ujde hue jungle mai qabr
Maa ka Kadyal Naujavan aaraam farmane ko hai,

Kal saher ko qabr mai chip jayega Sibte Nabi
Chaand par Zeherra ke aalam mai gehen aane ko hai
Yeh shabe aakhir har ek ka qalb tadpaane ko hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *