Noha

utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se
hasrat baras rahi hai ek ek bam o dar se

ye kisko ro rahi hai Zainab tadap tadap kar
jannat may Sayyeda ne chadar gira di sar se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

jisne Khuda ke ghar ko bakshi thi aake zeenat
wo aaj ho raha hai ruqsat Khuda ke ghar se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

hai bandh aankh shayad aaram aa gaya hai
maula tadap rahe thay unnees ki sehr se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

Zainab ke baazuon ko shabbir choomte hai
kya jaaniye Ali ne kya keh diya pisar se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

qaatil ko apne thanda sharbat pilane wala
bechain ho raha hai khud zehr ke asr se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

Koofe ka zarra zarra rota hai khoon ke aansoo
mehroom ho rahe hai Hasnain ab pidar se
utha koi janaza phir Sayyeda ke ghar se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *