Noha

udhar to fatah ki, fauje adu mein shaadmaani hai
idhar ansaar’e Shah par teen din se bUnd paani hai

udhar to aatish’e ghaiz o ghazab se surkh haiin naari
idhar rUng’e rukh’e Shah misle khursheed, arghwaani hai

Ali Akbar ki surat deikh kar hAr eik kahta tha
pisar Sarwar ka yeh, Ahmed ki tasweer’e jawaani hai

kamar bhi khAm hai, dil bhi hai shikasta, Shah ka sadmon se
aur usspar qaher yeh beite ki mayyat bhi uthaani hai

galey mein tauq, beiRi paaon mein, haathon mein hathkaRyaan
gire partey haiin Aabid raah mein, yeh natawaani hai

chala marne jawaan beita, to Sarwar ne kaha roakar
Ilaahi khair karna, yeh Payamber ki nishaani hai

udhar to fauje Koofa naher se seiraab hoti hai
idhar Sibte Nabi par teen din se bUnd paani hai

tarapti hai misaal’e barq, pyasoon ke liye maujein
talaatum mein ise se Alqama ka aaj paani hai

tamanna Karbala jaane ki rahti hai sada dil ko
agar hai to yehi, ek fikr* ko rUnj’e nehaani hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *