Noha

Turbat ko teri chhod kar, Maa jaati hai Asghar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar
Ta shab rahe ga yehi ek nauha labon par

Aaye jo ghadi asr ki, sar kata gaya Shah ka
Ghar lut gaya mera, Sab qaid hai kunba
Kaano se bahen ki chheney gaye gauhar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Zalim ne gauhar chhen ke mara hai ta macha
Rooti hai Sakina, De kaun dilasa
Daaman tak aaya hai lahoo, kaano se bah kar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Ai laal tere baba ko maara gaya kyonkar
Sajde mein they Sarwar, gardanpar tha khanjar
Maanga kiya paani woh jo tha dil ka samandar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Ab shimr ke durron se hamey kaun bachaye
Koi nahin haye, zaalim se chudaye
Hai tera Chacha soya hua naher ke upar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Din doob gaya raat hui, phaila andhera
Dil phhata hai mera, hai door sawera
Roti hai Sakina, tere jhoole se lipat kar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Rassi mein hamen dushman-e-deen jakde huey hain
Shaane bhi kasse hain Bazoo bhi bandhe hain
Tum hote to main goad mein lete tumhe kyonkar
Asghar Mere Asghar, Asghar Mere Asghar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *