Noha

Shahzadae Akbar ke sina dil le lagayi
Tasveer Payambar ki laeeno ne mitayi

Qismat ne ajab waqt musibat ka dikhaya
Atthara baras baad hui Maa se judai

Ai Laal kaleje se zara haath hatao
Sadqe gayi dekhu ke sina kis jagah khaayi

(Tha kon jo bekas ka zara haath batata
Khud kaapte haathon se lehed Sheh ne banayi)

Kohram hua Khaima e Shabbir meiN barpa
Akbar ki shahadat ki khabar rann se jo aayi

Shabbir hate rakh ke janaza jo Pisar ka
Maa ne kaha qurbaan tere haq ke Fidaye

Hasrat thi badhi dil meiN ke sehra bandhe dekhun
Yeh kya hua taqdeer ne kya shakl dikhayi

(Utra hua chehra yeh batata hai tumhara
Takleef bahut maut ki maqtal mai uthayi)

Ai laal mere khaakh meiN armaan mile sab
Dulha na banaya na dulhan byah ke laayi

Jo hoot chabate nahiN ab pyaas ke mare
Kya tashnagi aada ne taras kha ke bujhayi

Tha kaun jo Bekas ka zara haat batata
Khud kaaNpte hatoN se lahed Sheh ne banayi

Utra hua chhera yeh batata hai tumhara
Takleef bohut maut ki maqtal mein uthayi

(Sar peetti thi khaime meiN Baano abhi naagah
Mayyat Ali Akbar ki muqaddar ne dikhayi)

Angrayi zara le ke uttho khwaaab se Beta
Dekho Shah e Waala pe hui ran meiN charayi

Yeh kah ke Razi* khaak pe Baano giri ghash meiN
Zainab ne saf e maatam e khaime meiN bichayi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *