Noha

Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se
MaaN ke lab par haye Asghar ki sada hai der se

Kisko ab padh kar sunanoN soo gaye sab khaakh par
Kya karoon beti tumhara khat mila hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Khaana e Kaaba ki poshish is liyea jumbish meiN hai
Fatima Zaherra ki Beti berida hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Kahti thi Zainab mere Bhaiyya yeh aakhir kaun hai
Koi in khaimoN ke peeche ro raha hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Mere Akbar ki tarah woh bhi na ho jaye shaheed
dast e Sarwar par mera Asghar gaya hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

KahtiN thin Zainab Sakina ko chalo dhoondeN Kahin
Raaste mein rah gaye phool dil luta hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Dekho Aabid ho gaya shayad mere Bhai shaheed
Kyon zameen e Karbala ko Zalzala hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Arsh se Noori* par nazil ho rahin hain rahmateN
Karbala waloN ka nauha kah raha hai der se
Shaam ke sholon mein jhoola jal raha hai der se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *