Noha

Qasim se naunihal gul e sar ka fathiya
Sajjad De Rahen Hai Baradar Ka Fathiya

Ghash aa gaya Rabbab ko zindaan e Shaam mein
Abid ne jab diya Ali Asghar ka fathiya

Yuh aa ke farsh e khaak par Beemar gir pada
Dene utha jo Shah ki Dukthar ka fathiya

Abid ko yaad aa gaye bazoo kate huey
Dene jale jo Shah ke Baradar ka fathiya

Kaisa yeh imthiyaan tha Sajjad ke liye
Zainab ke rooh ba rooh Shah e Safdar ka fathiya

Gar rotiyan thi khushk to paani bhi garm tha
Jis shaan se hua tha bahhatar ka fathiya

Abid ne kis tarah se diya kya kahe Fareed*
Laila ke saamne Ali Akbar ka fathiya

Qasim se naunihal gul e sar ka fathiya
Sajjad De Rahen Hai Baradar Ka Fathiya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *