Noha

Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Ran main Shabbir aaj hain tanha
Dasht main lut gaya bhara kunbaa
Ashqiya hain kiyay hoay narghaa
Hai sitam ka hisaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Khaak per hai Sawar e dosh e Nabi
Tashna lab hain Hussain ibne Ali
Kund khanjar hai aur shimr shaqi
Hai haram ki pukaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Raah e Kufa hai Shaam ka bazaar
Hain rasan basta Zainab e Ghamkhaar
Sar khulay Bibian hain aur darbar
Sakht hai rehguzaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Ban kay qaidi Imaam jaaain gay
Baidiaan pehnay Shaam jaain gay
Sar e darbaar e aam jaaain gay
Hongay sab sharamsaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Aap Maula e kull hain Shah e Najaf
Haq ne bakhsha hai aap ko yeh sharaf
Shah hain tanha adu hain charon taraf
Behr e Parwardigaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Ab na Abbas hain na Akbar hain
Taptay maidaan main khulay sar hain
Baysahara hain aur bay ghar hain
Aai ghareebon kay yaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Aap Mushkil Kusha zamanay kay
Aap Haajat Rawa zamanay kay
Aap Khairul Wara zamanay kay
Sahib e Ikhtiaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Tujh ko kis baat ka hai gham Mehshar*
Sar pay Ghazi ka hai alam Mehshar*
Bas yeh keh kar utha qadam Mehshar*
Hashar kay Taajdaar al madaday
Sahib e Zulfiqar al madaday
Shah e Duldul sawar al madaday

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *