Noha

Ro ro ke poochtiN haiN Banoo Shah e zaman se
Kadayal Jawan ka Laasha kis tarah laye rann se

Sughra ne khat mein likkha Humshakl e Mustafa ko
Kya yuN bhi roothte hain bhai kahin bahen se

Jhoola jo khali dekha, ro kar Sakeena boli
Amma hamare Asghar ab tak na aaye rann se

Bechain hai Sakeena aur saas rukk rahi hai
Nannah gala shaqi ne bandha hai yuN rasan se

Qasim chale jo rann koKubra tadap ke boli
Kis tarah sabr hoga eik raat ki dulhan ko

Durrey na maar zalim Sajjad natawan ko
Eik gul yehi hai baki Gulzar e Panjatan se

Insaanyat ki duniya tadpi padi jo nawak
Bachche ne muskura ke ugla lahoo dahen se

Afsoos Shah ki maiyyat uriyaN padi hai rann mein
Doono jahaN ka malik Mahroom hai kafan se

Mehman bula ke pyaasa Sibte Nabi ko mara
Aise sulook koi karta hai bewatan se

Darbaar mei pukara Beti ne jab tadap kar
Rota hua Sare Shah oocha hua lagan se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *