Noha

Qabre Asghar pe kehti thin Maadar
Kis tarah main watan jaaon Asghar
Chhod kar tum ko aye mere Dilbar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Jab bhi dekhoon gi main khali jhoola
Yaad aao ge tum mujhko Beta
Yaad aaye ga jhoole ka manzar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Khat mein likkha hai Sughra ne tumko
Bhoole jaa kar tum apni bahen ko
Kya batoon gi main usko ja kar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Tum jawaan ho ge soocha tha Beta
Aur banoon gi main tumko dhoola
Rah gayen hasrateen dil mein ghut kar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Hai tere woh tashna-dahaani
Zaalimon ne pilaya na paani
Teer zaalim ne maara gale par
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Yaad karti hai tumko Sakeena
Ab to dushwaar hai mera jeena
Kaise samjhaon usko main Dilbar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Ab na Qasim hain na Aun-o-Jafar
Ab na Abbas hain aur na Akbar
Lut gaya ek din mein bhara ghar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Mujh par guzari woh kyonkar bataoon
Haal-e-dil tumko kaise sunaoon
Chhen leye hai layeenon ne chadar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Yaad mein Asghar aise zaban ke
Bain they ran mein Zamin* yeh maan ke
Main jiyon gi kaise tumse bichad kar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Qabre Asghar pe kehti thin Maadar
Kis tarah main watan jaaon Asghar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *