Noha

Payam e zeest jo laya hai aadmi ke liye.
Ghum e Hussain wo he gham hai zindagy ke liye.

Duaye’n karti thi jiski salamti ke liye.
Suna hai maut paresha’n hai ab usi ke liye.

Kahaa Husain ne yaaro se subah ashoora.
Hai imteha’n ki ghari aaj hum sabhi ke liye.

Lipat ke lasha e Akbar se kah rahi thi qazaa.
Tujhe kya pala tha Zainab ne is ghari ke liye.

Kharaa hua hai jo khud maut ke dahaane per.
Dua wo mange hai ummat ki zindagy ke liye.

Zaman royega sunker jise qayaamat tak.
Hussain laye the Asghar ko us hansi ke liye.

Usi ko kaata gaya karbala ke jungal me.
Galaa jo choomna lazim tha kal Nabi ke liye.

Her ek likh sakr Nauha Kaha’n Liaqat hai.
Sharaf diya ye Khuda ne kisi-kisi ke liye.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *