Noha

Haye mera mazloom Imaam,
Haye mara gaya hai tashankaam

Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Kuch roz se badla nazar aata hai zamana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Kalmahe dafano par adawat hai Nabi se
Badle na yeh duniya kahin Aulaad e Ali se
Darti hoon ke karwat koi badle na zamana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Ghar mera musalmanoo se dekha nahi jaata
Anjaan sa lagta hai mujhe sara Madina
Duniya ko khatakta hai Mohammad ka Gharana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Tasweeren laga dena mere qarb o jigar ki
Likh dena mera naam bhi dewaroon par ghar ki
Shaadi me mere Bhai ki jab ghar ko sajaana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Kahta hai yeh bahenon ki mohabbat ka tareena
Ummeed hai bhoolo gi na tum mujhko Sakeena
Mere liye saugaat safar se koi laana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Veeraniyan dekhi nahi jaati hai nazar se
Goshe me padi rahti hoon dar lagta hai ghar se
Ghar kya mujhe veeran nazar aata hai zamana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Bachchon ko hua karti hai ulfat badi ghar se
Sehraoon main ghar dhoondi gi masoom nazar se
Roye jo Sakeena to kalaje se lagana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes Jane Walon Mujhe Bhool Na Jaana

Sach kahti hoon duniya se guzar jaaye gi Sughra
Ro-ro ke tumhare liye mar jaaye gi Sughra
Baba mere ghar jaldi zara laut ke aana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Din raat nazar meri lagi rahti hai dar par
Bhaiyya Ali Akbar mere Bhaiyya Ali Akbar
Pardes basana to bahen ko bhi bulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Ay Baba na ji paoongi me ranj-o-bala se
Bulwalo Madine se mujhe Karbobala mein
Mahir* lab-e-Sughra par hai har dam yeh fasana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana
Sughra ne kaha hijr mein apne na rulana
Pardes jaane walon Mujhko bhool na jaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *