Noha

Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar
Daagh mujhko na zaeefi mein dikhana Akbar

Main fida naam e Khuda aaye jawaani teri
Abhi sandal mujhe baki hai lagana Akbar
Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Apne marne ki sunate ho khabar Maadar ko
Tumko laazim nahin jo Mujhko sunana Akbar
Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Dhyan aata nahi kuch meere budhape ka tumhe
Chhayea kya tumhe yuh dil ko dukhana Akbar
Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Mai jo mar jaon toh phir yaad mujhe bhi karna
Apni madar ko na tum dil se bhulana Akbar
Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Apne marne ki sunate ho khabar Maadar ko
Hai abhi mujhko tera bhiya rachana Akbar
Maan Yeh Kahten Thin Ke Tum Marne Na Jaana Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *