Noha

Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Thi dil mein tamanna main tere shaadi rachaon
Aur bhiya ke main teri Dulhan chand si laaon
Armaan tha ke dekhti Madar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Attharan baras paal ke parwaan chadaya
Jab bhiya ke din aaye to duniya se sidhara
Maa dekh na paye mere Dilbar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Khil jaati kali sehre ki main dekh to leti
Maa le ke balayen yehi ro ro ke hai kahti
Mitti mein mila aa ke yaha par tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Ai Laal tujhe bhej ke Sughra ko bulati
Mehndi tere haaton mein wohi aa ke lagati
Aachal se chupati tere Khawar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja ka r tera sehra

Mehndi who lagati to use negh bhi milta
Shadi bhi tere hoti bohut dhoom se beta
Maa leti balaye dil e Haider tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Sehre se nikalten tere zulfon ki shua wen
Maa dekh ke dete tujhe has has ke duawen
Bandhoon gi tassawur me tere sar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Hai waqt e azan uttho mere gesoo e wale
Phir de do azan Maa hai teri dil ko samhal e
Arman gaya dil mein chupa kar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Pahlu mein tere baithte phir Aun o Mohammad
Laa kar main lagati tere saath hi yahan masnad
Aur dekhte Abbas e Dilawar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Ji bhar ke teri shakl ko Maa dekh na paye
Bin bhiya ke ai laal tujhe maut hai aaye
Yeh zakhm e jigar kha gaya Dilbar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Jangal mein luti hai teri bharpoor jawaani
Hasrat hi bachi dil mein mere teri nishani
Maqtal se utha khoon mein naha kar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Duhla main banaoon gi tassawur mein tujhe laal
Kahti hai yehi laash pe Maa khole hue baal
Maa dekhne paye na tere sar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Kahti hai yehi de ke dua Fatima Zahera
Rahbar* ne likha khoob mere laal ka nauha
Ta hashr padha jaye ga Akbar tera sehra
Maa dekh na paye Ali Akbar tera sehra
Rakkhen hain nigahon mein saja kar tera sehra

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *