Noha

Khaime me aake Shah ne jab alvida kaha Kohraam mach gaya…

Tha jiska intezaar wo saa at kareeb hai,
Din dhal raha hai sham e musibat kareeb hai,
Kuch der ki hai baat qayamat kareeb hai
Zainab(s.a) gareeb bhai ki ruksat kareeb hai.
ye kehke maanga maa ka jo kurta sila hua…..
Kohraam mach gaya

Kuch dur hat ke khaime mein bole Shahe Zaman,
Zehmat na ho to bazu badhao zara behen,
Main bose loon wahaan ke bandhegi jahaan rasan,
Bazu badha ke roti thi hamshir khastatan,
Bhai behen ke bazu ko jab chum ne laga…
Kohraam mach gaya…..

Ye sun ke binte Fatema Zehra (s.a) tadap gayiin…
Boli gala badhao bas ab jald ya akhi
Amma ki baat aaj mujhe yaad aa gayi
Main bose loon wahaan ke chalegi jahaan churii
Zainab(s.a) ne badh ke chuma baradar ka jab gala….
Kohraam mach gaya……………

Beti se phir ye kehne laga Fatema(s.a) ka laal
Rehna phuphhi ke paas rakhengi tera khayaal
Gurbat hai tum phuphi se na karna koi sawaal
Warna tere padar ko bohot hoyega malaal
Phir sar pe haath rakh ke jo dene lage dua……
Kohraam mach gaya………..

Beti ko jab supurde behen kar chuke Imam(a.s)
Rokar behen se kehne lage aasma maqaam
Jaana watan jo qaid se chhutt kar ae tishna kaam
kehna lehed pe maa ki mera aakhri salaam
Aaya jo lab pe Fatema Zehra(s.a) ka taskeraa….
Kohraam mach gaya………..

Aabid se phir ye kehne lage Shahe Karbala,
Bewaon or yatimon ka ab tum ho aasra,
Jo imtehaan mera tha sab maine de diya,
Aage tera Jihad hai beemar-e-karbala,
Beemar beta baap se jis dam juda hua…..
Kohraam mach gaya………..

Khaime se bahar aaye jo sultan-e-karbala,
Sar ko jhukaye rota tha khud asbe bawafa,
Ab kis tarah sawaar ho Zehra(s.a) ka laadla,
Tanhaii ke siwa koi yaawar nahi raha,
Jab sue neher dekh ke Gaazi(a.s) ko di sada….
Kohraam mach gaya………..

Bhai ko tanha dekh ke Zainab(s.a) tadap gayiin,
Roti hui Hussain(a.s) ke nazdeek aa gayiin,
Or phir rakab thaam ke boli ae Shahe Deen,
main sawaar karti hoon Abbas(a.s) gar nahi,
Waiz hua sawaar jo Zehra(s.a) ka laadla…….
kohraam mach gaya………

One comment(s) on “Kohraam mach gaya Kohraam mach gaya”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *