Noha

Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke li ye
Nusrat e haq ki hadeN humko batane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Ghir gaya toofan e baatil me safeena haq ka jab
Sipte Paighamber utha usko bachane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Jiske dam se noor e eeman pahelta tha daher mein
Muttahid thin zulmate usko mitane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Hai kahan mere Chacha, Shah se Sakeena ne kaha
Mujhse waada kar gaye thay paani laane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Hurmula ka zor aur teer sa shoba ki kadak
Eik nanha sa gala aise nishaney ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Boond paani ki bhi na pauchi haif jis tak teen din
Who gulo e khushk khanjar aazmaane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Maa ko ghash aaya jo dekhi Akbar e Mehroo ki laash
Yaad aayen hasrateen dulhaa banane ke liye
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Karbala jiske lahu se rashk e Jannat ban gaye
Mustarib Ehsan* hai uske aasthane ke liye.
Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye
Nusrat e haq ki hadeN humko batane ke liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *