Noha

Kaleja thaam ke Shah ne pukara Ai Ali Akbar
Main dekhooN kis taraha Jaana, Ai Ali Akbar

TumheN rukhsat karooN kaise, ke main eik Baap hoon beta
Ye mera dil kare kaise gawara, Ai Ali Akbar

Palat kar Baap ko apne musalsal dekhten jaana
Mile ga phir kahan chehra tumhara, Ai Ali Akbar

Dhamak taapoN ki jitne door mujse hoti jaati hai
Bujha jata hai utna dil hamara, Ai Ali Akbar

Tumhi ko dekh kar jeene ki mujhko aas baki thi
Na jaao chhod kar mujhko Khudara, Ai Ali Akbar

Ujadte apni aakon se chaman woh kis tarah dekhoN
Ke attharaN baras jisko sawara, Ai Ali Akbar

Yeh maana deen par marne ka bohut jasba hai par soocho
Tumhi tooti kamar ka ho sahara, Ai Ali Akbar

Sabhi eik eik kar ke saath mera chhode jaate hain
Hai meri zaat aur uska sahara, Ai Ali Akbar

Qayamat tak mere dil mein rahi gi yeh khalish Beta
Ke tujhko maut ne bewaqt mara Ai Ali Akbar

Padha jab anjuman ne Shah e Wala ka Raza* Nauha
To ghamgeen ho gaya maahoul sara, Ai Ali Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *