Noha

Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon
Zaalim bohut hai lashkar e be-peer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Beemar hoon ke raah ka chalna mohaal hai
Uspar sitam hai paoon mein zanjeer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Karbobala mein aa ke yeh ehsaas bhi na tha
Yeh din mujhe dikhaye gi taqdeer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Shiddat ki garm reit par sookhi zuban liye
Tadpa hai mera Asghar e Besheer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Kadiyal jawan ke seene par naiza jo chal gaya
Roi bohut hai Maadar e Dilgeer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Yeh to khabar thi ho ge bahhatar ke sar qalam
Be-pardagi dikha gaye taqdeer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Deen e Nabi ko jisne ujaala ata kiya
Hai teergi mein aaj woh Tanweer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Bacche tadap ke mar gaye paani nahin mila
Woh tashnagi ki dekhi hai tasweer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Sab kuch luta ke dasht mein Daaman ko jhaad kar
Bahte thay rann mein Hazrat e Shabbir, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Baagh e Fidak ko chhen ke jab dil nahin bhara
Karbobala mein loot li jageer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Zainab Phupi hain shaam ke balwe mein be -rida
Aur har taraf hai majma e be-peer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Hasrat liye Madine ki zindaan e shaam mein
Zer e zameen soo gayi Hamsheer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Nauha likha Raza* toh qayamat guzar gayi
Dil roo raha hai, aur main tahreer, kya karoon
Kahate thay ro ke Aabid e Dilgeer, kya karoon

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *