Noha

Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana
Ali Asghar mujhe soorat dikha do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Tabussum ka samandar le ke aa jaao Mere Dilbar
Lagi hai aag khaimoN mein, bujha do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Jidhar bhi dekhti hooN bas udaasi hi udaasi hai
Mera veeran ghar jannat bana do, phir chale jana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Tumhe dekhooN, Kalaje se lagaooN, Baal suljhaaoN
Bas itne der mera ji badha do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Tassalli kuch to ho jaye, mMere toote hue dil ko
Mujhe jo tum pa guzri hai, bata do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Tumhari yaad mein Sughra Madine mein tadapti hai
Likhe kya khat mein Sughra ko, bata do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Andhere khaye jaate hain mujhe Shaam e GareebaN ke
Mujhe tum chand si soorat dikha do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Judai ka tassawur khaye jaata hai Mere Dilbar
Kahan tak gham uthayeN yeh, bata do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Jum Tumne hurmala ke teer se ki guftagu rann mein
Who baat aa ke ghar bhar ko bata do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Suna hai teer kha ke rann mein Beta muskaraye thay
Hamare saamne bhi muskara do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Yehi nauha tha Ishrat* Maadar e Asghar ke hoton pa
Meri bigdi hui duniya bana do, phir chale jaana
Kaha Madar ne bas itna bat do, phir chale jaana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *