Noha

Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge
Sakina ke liye Abbas Dariya aaj le leinge

Ali ke Sher haiN, Abbas ke tewar batateN Hain
Sitamgaron ke qabse se yeh dariya aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Sitamharon se yeh Aun o Mohammad rann mein kahte thay
Mere hamley dayare Shaam o Koofa aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Wiladat kah rahi hai Budshikan ki sain e Kaaba mein
Khuda-walen buton se apna Kaaba aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Saji hai Karbala, Teeron se, Talwaron se, Naizon se
Yeh ansar e Hussain jane kya kya aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Nikal jaye gi hasrat jung ki Abbas kahten thay
Sakina ki sifarish ka sahara aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Hai jisse azmate Kaaba, zameene Karbala boli
JabeeN e Shahedeen se ham woh sajda aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Ali ibne kareema ka ho yeh Hur Shah se kahta hai
Hum apne haath se daaman tumhara aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Ulat kar aasteeN Abbas be-deinoN se kahten hain
Yeh dariya hi nahin hum sari duniya aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Ham aaten haiN kaha Abbas ne ai lashkar e aada
Jo kal dariya tumhara tha woh dariya aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Jhapak jaye nigah e barq jisko dekh kar Salik*
Ali ki madha se aisa ujala aaj le leinge
Kaha Abbas ne Aaqa ka mansha aaj le leinge

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *