Marsia

Jab subha Berida e Zainab ayan hui.
Aur akhri sipah e Khuda mein Azaan hui
Paida yeh ahlebait ke lab par fugha hui
Bus ab bahar e Gulshan e Zahera khiza hui

KapeN ga arsh Fatima ke shor o shain se
Jis dam bida howi gi Zainab Hussain se

——————————————

Aati thi gaah khaimen ke dar par woh beqaraar
Aur ro ke Zuljana se kahtiN thin baar baar
Tere nisaar aut tere raqib ke bhi nisaar
Ahsaan tera howi ga Zainab pe beshumaar

Barbaad keejiyo na Ali ki kamaai ko
Maqtal mein le na jaayeo Zainabke Bhai ko

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *