Noha

Hussain sar sa kataey toh aaj kya hota
Khuda ke deen ka chhera utar gaya hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Agar na hota san eksat ka rooz e Ashoora
To aaj taarek e eeman to hi kya hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Bait meiN di Akbar ki jawani, Aur Asghar tad pa bin pani
Jaan pa khela laal Ali ka, SaNch pa aanch jo aaye tere

Agar na hota san eksat ka rooz e Ashoora
To aaj taarek e eeman to hi kya hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Na hote Hazrat e Abbas ke jo naqsh e qadam
To aastane wafa kab ka mitt chuka hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Khaakh pa qabza kar ke choda, Daal diya dariya mein ghoda
Khoon ko paani karne wale, Aah teri saqqaye dekheN

Na hote Hazrat e Abbas ke jo naqsh e qadam
To aastane wafa kab ka mitt chuka hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Dua e bad mein jo Zainab ke haath uth jaate
To yazadiyat ka janaaza nikal gaya hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota

Aal e Nabi ko yun bepardaa, In aakhon se toone dekha
Mar na gaya o shaam ke hakim, Laaj na tujhko aayi g here

Dua e bad mein jo Zainab ke haath uth jaate
To yazadiyat ka janaaza nikal gaya hota
Hussain sar na kataey toh aaj kya hota
Khuda ke deen ka chhera utar gaya hota

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *