Noha

Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas
Harm Sara-e-Hussain Kay Pasban Abbas

Wafa ka laakh Khusoos-e-amal kiya Abbas
Shabih-e-Fatah-e-Khaibar rahi nishan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Woh shamma jisko yazidi bujha nahin sakte
Jala gaey hain sare raah-e-imtehan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Nazar to jaati hai insaan pahonch nahi sakta
Fareed e azm o amal ke haih aasman Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Ali ka azm hai talwar Fazle Husain
Hai intihiy-e-tabbussum ke darmian Abas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Yeh haath hote hifazat hayaat hote agar
Jahan jahan hain Shah-e-Deen wahan wahan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Khuda ki raah mein tu ne kata ke haaton ko
Ajal ki toad ke rakh di kalaaiyan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Idhar ghash aa gaya shayed Sakina Bibi ko
Pukarte hain tumhe Shah-e-Imtihiyan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Huzoor-e-tashnalabi ka agar bahadar tha
Udhar Furat se uthne laga dhuwan Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Aseer ho ke sab Ahl -e-Haram shaheedon ne
Tumhi to ho ge Sakina ki imtihiya Abbas
Haram Sara-e-Hussaini Kay Pasban Abbas

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *