Noha

Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Main sadaye deti hoon, Sunta sadaa koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Woh sitam mujhpar hue hain, Poochta koi nahi
Sabko yeh maloom hai, Meri khata koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Bhai Akbar honge qatl, Bolta koi nakin
Apno se shikwa hai, Ghairoon se gila koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Bas Khuda hi jaane, Sub judaa mujhse kyo ho gaye
Jaanti hoon yeh bhi main, Mujhse khafa koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Chahne wale mere, Sab sar kata ke soo gaye
Ho gaye mai be-sahara, Aasra koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Gham mujhe yeh khaa raha hai, Chhin gaye chadar mere
Chin gaye gauhar mere, Iska gila koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Hum pareshan-haal baithen hain, Sitam ki dhoop mein
Zikr paani ka kya hai, Deta hawa koi nahi
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Zulm ko aada diya hai, Kaun roke ga inhe
Ab hamara chhana wala, Bacha koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Shimr Humse kah raha hai, Zulm bas saithe raho
Ab bulane se Chacha ko, Aayega koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Ro ke kahte hai Sakeena, Ya Ali faryaad hai
Be-rida hain Beebiyan, Deta rida koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Shaam ki taarikiyon mein, Kho gaya Asghar Mera
Kis taraf jaon, Kahan dhoondon, Pata koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Jal gaya Asghar ka jhoola, Aag khaimon mein lagi
Main luti hoon jis tarhan, Aise luta koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Dooba sooraj asr ka, Shaam-e-Gareeban aa gaye
Wa Husaina ki sada hai, Aur sada koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Nauha padti hai yeh Sajina, Janib-e-Maqtal chale
Main akeli rah gaye, Baba mera koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Apne seene par sula lo, Mujhko Baba ek baar
Iltija hai bas yehi, Aur iltija koi nahi
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Ek yateema kah rahi thi, Ro ke Jafar* baar baar
Sar chipane ke liye, Khaima bacha koi nahin
Kya Mera koi nahin
Hai Sakina ka yeh nauha, Kya Mera koi nahin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *