Noha

Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera
Ho Ujala Ke Adhera, Na raha koi sahara
Hai Sakeena ka yeh naala, Aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Hai sama shab ka darona, yeh hawaon ka sahemna
Yeh sulaghta hua sehra, yeh khamoshi yeh andhera
Baithi kahan tak, nahi jaane ka qareena
Hai bohut door Madina, yahin tadpey gi Sakeena
Nahin mumkin mera jeena, aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Main Kahoon aap se kyonkar, Dhai safon pe Payambar
Na Khuda ka hai use darr, hay Bada shimr sitamgar
Roo’n na kyunkar, mujhe aazar diye hain
Mere bazoo bhi bandhe hain, mer durr chhen liyen hain
Mujhe mara hai tamacha, aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Kabhi nazron mein samana, kabhi jhoole mein humakna
Kabhi haaton ko uthana, kabhi hasna kabhi roona
Kaise bhula doon, mera ghar ho gaya soona
Woh nahi hasliyon wala, mai pahnaon kisse kurta
Main jhoolaon kise jhula, aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Woh Shah e Shan e Wafa hain, Woh Dil e Sher e Khuda hain
Woh mere pyare Chacha hain, Woh Bhatiji par fida hain
Mujhko khabar hai, Main sada deti Chacha ko
Mujhe Zalim se chuda do, mere durr mujh ko dila do,
Woh gayen hain soo e dariya, aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Kahe Mahir* yeh fasana, hai ajab rang e zamana
Luta Ahmad ka gharana, kaha Karti hai Sakina
Kaise jiyon gi, yehi kahta hai qareena
Ke na dekhon gi Madina, Mujhe jeene nahi de ga,
Mera din raat ka rona, aaiyea Baba
Hai Ghamon Ne Mujhe Ghera

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *