Noha

Ek Sakta hai, biyabaan ki Fiza Khamosh hai
Khaak par laashe pade hain, Karbola khamosh hai

Subha ko Ahle Haram ki yaad aati hai azan
Waqt e Maghrib hai, Shabi e Mustafa Khamosh hai
Ek Sakta hai, biyabaan ki Fiza Khamosh hai

Who humakna, muskarana aur lipatna Shah se
Asghar e Masoom ki har ek ada khamosh hai

Hai Sakeena goad mein Zainab ke, asoon hain rawa
Sooti hai Masoom aur ma behawa khamosh hai

Hain Shaheedon ke bhi laashe, laash e Shah ke kareeb
Qafila Saalar chup hai, Qafila khamosh hai

Kuch dhuan baki abhi hai, dher mein raakh ke
Shah ke khaime jal chukey hain aur fiza khamosh hai

Bedeyan hain paye e Abid, Nek gardan mein hai tauq
Rooti hai zanjeer lekin naksh e pa khamosh hai
Ek Sakta hai, biyabaan ki Fiza Khamosh hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *