Noha

Detin thi sada Zainab e Bekas yeh tadap kar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo
Hain nargha e aada mein akele Shah e Safdar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Is waqt na tum aaye agar chhod ke dariya
Ho jaaye ga andher nigahooN mein zamana
Chal jaye na halq e Shah e Mazloom par khanjar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Majaai ki ho khair ke dil kaNp raha hai
Hilti hai zameen, dasht ki toofan utha hai
Khawar se na chhut jaye kahin aaj Baraadar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Ai Jaan e Padar aao musibat ki ghadi hai
Uthta hai dhuaN aag kanatoN mein lagi hai
Hai Aabid e Beemar mera khaime ke andar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Ghodon ko jo daudate hue aate hain aada
Pamaal na ho jaye kahin Bhai ka laasha
Aane mein na ab der karo ai mere Baraadar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Tum jab se gaye chhup si Sakeena ko lagi hai
Khamoosh taraai ki taraf dekh rahi hai
Dekho to Bhatiji ka zara haal Tum aa kar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Maqtal ki zameen naizoon se chalni hui sau baar
Asghar ki lahad dhoondte phirte hain sitamgae
Kya chain na paye ga lahed mein mera Asghar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Is tarahan Munnawar* kiya Zainab ne jo nauha
Saahil pe tadapne laga Abbas ka laasha
Aur Aabid e Beemar bhi rone lage sun kar
Abbas bacha lo, mere Abbas bacha lo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *