Noha

Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye
Para para ho ke Zahera ka kaleja reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Maa ko yeh armaan tha bachcha mera nausha bane
Maut ko yeh zid thi rukhe Qasim pe sehra reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Paani kya Abbas le jayen ge bola hurmala
Teer woh maro ke mashkize mein qatra reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

BoleN Bano mujh ko dafna do mere bachche ke saath
Asghar e Masoom turbat mein akela reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Mit gaya daur e yazeedi ai Hussain Ibne Ali
Ab bhi duniya chahti hai Tera charcha reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Shah ne do noore Nazar rah e Khuda mein de diye
Ta ke aalam mein kisi ja bhi andhera reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Aag khaimoN mein Shah e Deen ke lagao iss tarah
Bibiyon ke bhi sar chupane ko bhi parda reh na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Hurmula ne teer mara kah ke yeh Besheer ko
Aab e paikar pee le yeh Masoom pyasaa rah na jaye
Dab ke ghodoN ke sumoN se Sheh ka lasha reh na jaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *