Noha

Na kyu ho bibiyon mein ashkbari
Chali Firdaus ko woh gham ki mari
Jo pur-hasrat zamane se sidhari
Hamari Shahzadi Shah ki pyaari
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Who jisko god mein Sarwar ne paala
Hussain ibne Ali ki Maah Pari
Bane jiske Alam Bardar sakkha
Ali Akbar the jis par dil se shaada
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Jo Shah ki laash par rone na paye
Agar roi to gurkhi usne khayi
Who awara watan gham ki satayi
Ghareeb o Bekas o Besar ki jaie
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Khule sar jisko nako par phiraya
Na jis par shimr ko kuch rahem aaya
Jise bewarisa paa kar sataya
Tamache maar kar jisko rulaya
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Who jis dukhiya ne ranj o gham uthaye
Laen ne pusht par durrey lagaye
Sitamgaar ke tamache mooh par khaye
Chine kanoN se bunde jiske haye
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Who jiski laash par kahtiN thiN maadar
Chali kis jaN batati jaao Dilbar
MaiN wari aaoogi kab ghar meiN phir kar
Rahogi qaid mere saath kyunkar
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Na maaN ne jiski mannat tak badhaye
Na shaadi jis pur bharmaN ki rachayi
Koi ummeed bar aane na paye
Jise zindan e gham meiN maut aaye
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Kaha mayyat pe jiski maa ne aa looN
MaiN pur-arman ke arman to nikalooN
Dulhan Shahzadi ko apni bana looN
Shahana eik kafan laa kar pinha looN
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Dhulan jisko na maadar ne banaya
Bandha jis toor ki mayyat par sehra
Janaza dhoom se uthne na paya
Na laashe par tha jiske shamiyana
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Laqab mashoor hai jiska Sakeena
Jigar-bande Shanshah e Madina
Bana gahwara jiska Shah ka seena
Jo thi mohr e Immamat ka Nagina
Usi Masoom ki hai yeh sawari
Hai Sakeena Hai Abbas

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *