Asghar Huñ Maiñ Asghar

Shabbir ke haaton par rajas padhtey thay Asghar Asghar Huñ Maiñ Asghar Hoon Sipte Payambar ka main Farzand e Dilawar Asghar Huñ Maiñ Asghar Kaunaan ke Mukhtar ka main Lakth e Jigar hoon Syyed ka pisar hoon Islaam ki kashti ka hoom ek chhota sa langar Asghar Huñ Maiñ...

Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye

Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke li ye Nusrat e haq ki hadeN humko batane ke liye Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane ke liye Ghir gaya toofan e baatil me safeena haq ka jab Sipte Paighamber utha usko bachane ke liye Karbala aaye thay Shah, Dunia se jaane...

Raat aadhi aa gayi ai Jaan e Madar ghar mein aao

Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao Rooth kar yun bhi koi jaaata hai Akbar ghar mein aao Dushmane deen pa ke tanha qatl kar deNge tumhe SaikdoN zaalim liye baithe hain khanjar ghar mein aao Raat aadhi aa gayi hai Jaan e Madar ghar mein aao Shaaam ke...

Shana Hila ke Maan Yeh Pukari

Shan hila ke maa yeh pukari Soye bohut ab jaago Sakina Aakhe kholo raaj dulari Soye bohut ab jaago Sakina Maa se bata do kaisa hai dil Dekho utthe sare namazi Aaj yeh halat kya hai tumhari Soye bohut ab jaago Sakina Bibi uttho, aakhen kholo Dharas do, kuch mooh se...

Nikla uffaq pa yeh jo Moharram ka chand hai

Nikla uffaq pa yeh jo Moharram ka chand hai Ulfat hai hum ko jis se yeh us gham ka chand hai Nikla uffaq pa yeh jo Moharram ka chand hai Abbas aur Husssain ke matam ka chand hai Zainab Tumhare zakhmoN ke Marham ka chand hai Nikla uffaq pa yeh jo Moharram ka chand hai...

Salaam Khak-nashinon-pa

Salaam khaak nasheeno pa sogwaron ka Ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka Salaam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai Salaam us pa jo zahmat kashe salaasil hai Musibaton may Imamat ki pehli manzil hai Salaam bhejte hai apni...