Noha

Loag karteN haiN kyun aah o zaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Koi Dulha ki Phupiyon ko laao
Unki Choti Chachi ko bulao
Dher hoti hai jald aao wari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Meri Baali Sakina kahan ho
Kyun nigahon se ab tak nihaa ho
Neg le jaoo Bano ki Pyaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Jaa ke keh do yeh Shah-E-Zaman se
Koi Sughra ko laae watan se
JaaeN Akbar maangaye sawaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Sunti ho Fatima ki Khunzaadi
Ghar mein do Bhaiyon ki hai shaadi
Aaj jaagi hai qismat Tumhari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Jaake Sher-e-Khuda ke Nawase
Keh deiN Dulha ke Chote Chacha se
Ghar meiN shaadi ki rasmeN hain jaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Koi qabr e Hassan par yeh kehna
Dekh to jaaeN Betey ka sehra
Unki furqat meiN aansoon haiN jaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Bewa Shabbar ki ro kar pukari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi
Loag karteN haiN kyun aah o zaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Meri Baali Sakina kahan ho
Kyun nigahon se ab tak nihaa ho
Neg le jaoo Bano ki Pyaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Ay Wazir* eik mehshar bapa tha
Sun ne wala har eik ro raha tha
Maa jo kehti thi ba aah o zaari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Bewa Shabbar ki ro kar pukari
Mere Bachchay ki aati hai mehndi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *