Noha

Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar
Hamari aakhon mein andher hai jahan Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Kabhi juda na huey thay hamare pahloo se
Akale sooge ge Jangal mein ab kahan Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Na neend aaye gi beta tumhe bagair mere
Lipat ke chain se sootey jo hoti maa Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Bagair mere pilaye ga doodh kaun tumhey
Akale rooge le le ke hichkiyan Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Ishare doodh ke peeney ke kar lo dai se
Phirao hooton pe sookhi hui zaban Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Tumhara khoon hua nahaq, yeh sab pe hai zahir
Zameen gawah hai shahid hai aasman, Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Jhandoole baalon ki khushboo jo yaad aati hai
Patakhti sar ko hai pairoon tumhari Maa Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Gale ke zakhm ko eeza na ho kaheen waari
Badhaoon aao main mannat ki hasliyan Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Hazaar haif bichone uthaye jaayen hain
Tumhari jhoole ki khulti hain dooriyan Asghar
Bayan yeh kartin thin Banoo , gaye kahan Asghar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *