Noha

Bano ki sada thi yehi faryaad hai faryaad
ay Sayyede Sajjad

kya honge na hum qaide sitam kabhi azad
ay Sayyede Sajjad

ek roz may taraaj hua mera bhara ghar
kaisa tha muqaddar
socha bhi na tha honge hum is tarha se barbaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

cheh maah ke baysheer ki wo tashna dahani
paaya nahi pani
kya kya na huye bali Sakeena pe bhi bedaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

hal min ki sada Shah ne di ran may kayi baar
koi na tha ghamkhar
khanjar se zibha karta raha Shah ko jallad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

maare gaye Abbas e alamdaar hamare
darya ke kanare
khakar sina dunya se gaye Akbar e nashaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

aada se kaho chahe meri jaan bhi lele
chadar meri dede
be-parda phiraye na hamay ye sitam ejaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

hum qaid se chootenge watan jayenge kyun kar
Akbar hai na Asghar
ab wo kahan Sughra bhi na karti hai bahot yaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi….

nauha ho mera aur dare Shah huda ho
nazim ki sada ho
Mehshar* ka kalaam ban gaya hai aap ki faryaad
ay Sayyede Sajjad
Bano ki sada thi yehi…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *