Noha

Band Paani kar diya Aal e Payambar ke liye
Mar gaye atfaal e Sarwar ek saagar ke liye

Saath mera chhod do atfaal se kahte they Shah
Sab yeh jhagde ho rahen hain ek Mere sar ke liye

Saqi e Kausar ke Bachche is tarah se tashnalab
Dam labon par aa gaya tha ek saagar ke liye

Aayat e tatheer ke Malik bata ab kya karen
Betiyan Zaherra ki hain mautaaj chadar ke liye

Kya karoon bhai mera shane kata kar mar gaya
Warna main mautaaj hoti ek chadar ke liye?

Ho bhare darbaar mein jab dakhila Hamsheer ka
Kuch to karna intezam us waqt chadar ke liye

Hil gaye dil koofe walon ke jo Zainab ne kaha
Zulm jo chaho karo Aal e Payambar ke liye

Phir nazar ki soo e Naher e Alqama aur yeh aha
Mere Ghairatdaar kya kahtey ho Khahar ke liye?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *