Noha

Jab pyaas lagi, ek hookh uthi,
Aashoor ka manzar yaad aaya

woh haq ka fidayee, tashnajigar
Dilband-e-Payambar yaad aaya
Abbas nahin, Akbar bhi nahin,
Qasim bhi nahin, Jaafar bhi nahin
Dil thaam ke Sarwar baith gaye
Eik eik ghazanfar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Ai Karbobala ki jalti zameen,
Kya pyaas thi Shah ke bachchon ki
Aakhon se abbabon ki roya,
Dariya ko jo Asghar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Hasrat se nazar ki maqtal par
Hasrat se nazar ki maqtal par
Har zulm-o-sitam par Zainab ko
Abbas-e-Dilawar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Ek hookh si dil mein uthne lagi,
Bechain hui, ghash kha ke giri
Jab qaid se chhut ke pouchi watan
Zainab ko bhara ghar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Kuch muh se na bole Shah-e-Huda,
Hasrat se nazar ki charon taraf
Maula ko mere jo waqt-e-aakhir
Chhota sa jo lashkar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Qasim jo chale marne ke liye
Kya yaas ka aalam tha Nasir*
Seeney se laga kar roye bohut
Sarwar ko Biradar yaad aaya
Jab pyaas lagi, ek hookh uthi
Aashoor ka manzar yaad aaya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *