Noha

Andhere Ghar Mein Sakeena Ko Maut Aaye Hai
Janaza uthne ka samaan nahin duhaii hai

Pukari Banoo e nashaad aa ke mayyat pe
Sakina Bibi uttho maa tumhari aayi hai

Karoon main dafn ka saaman kis tarah beta
Ghareeb maa hai toh mohtaaj tera Bhai hai

Abhi zabaan bhi poori na khulne paye thi
Yateem bachchi ko bewaqt maut aayi hai

Bagair raushni ke kis qadar tadapti thiN
Andheri qabr tumeh ab pasand aaye hai

Hai aaj kyuN dar e zindan khula hua bibi
Tumhare lene ko shayad sawari aayi hai

Kise ne haal yeh hakim se keh diya ja kar
Ki qaidiyoN par museebat eik aur aayi hai

Who ladki mar gayi jo shab ko roz roti thi
Wohi Hussain ki dukhtar falak satai hai

Na dafn ka koi saaman hai na kafan ke liye
Na koi laash pe chadar abhi udhai hai

Zara sa bhej de kapda jo daaleN mayyat par
Yeh tere daur mein kaisi qayamat ayi hai

Taras yazeed ko aaya yeh waqiya sun kar
kaha yeh kahna jo Aabid se uska Bhai hai

Mujhe bhi ranj hua sun ke yeh khabar leikin
Khuda ke hukm se majboor sab khudaai hai

UthayeN aap janaza main bhejta hooN abhi
Kafan mangaya hai ghassala bhi bulayi hai

Payaam sun ke laeen ka kaha yeh Aabid ne
Tere hi zulm se bekas ne jaaN gawaie hai

Zaroorarat aur nahin sirf chadar e Zaherra
Who mujh ko bhej de gharat mein jo ke payi hai

Yeh kah ke ghusl lage dene Aabid e Ghamgeen
Kaneez eik who chadar bhi le ke aayi hai

Kafan bahen ko pinhaya to ro diye Sajjad
Har eik bibi ko phir baat yeh sunayi hai

Bidha kar lo inhe dekh lo, karo rukhsat
Salaam aakhiri karne Sakeena aayi hai

Balayeen chhoti si mayyat ki le ke maaN boliN
Arrey yeh char baras ki meri kamayi hai

Ali ki laadli beti tera khuda hafiz
Ki hum se tumse qayamat talak judaii hai

Tumhari bina na mujhe neend aayegi Beta
mujhe bhi le chalo basti jahan basayi hai

Badar* ko khuld mile gi sanaye Sarwar se
Zar e naseeb woh taqdeer maine paye hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *